lauh-e-jahan pe naqsh hai gulzar-e-qahqaha
lauh-e-jahāñ pe naqsh hai gulzār-e-qahqaha
hai saarī kā.enāt taraf-dār-e-qahqaha
pahle yahīñ pe 'ālam-e-nābūd-o-būd thā
kholā huā hai jis jagah bāzār-e-qahqaha
raftār-e-be-ḳhayālī na raftār-e-raushnī
sab se ziyāda tez hai raftār-e-qahqaha
dīvār-e-mehrbānī kā bhī shukriya ki ab
tā'mīr kījiye koī dīvār-e-qahqaha
gard-o-ġhubār-e-husn se lutf-e-jahān tak
sab meñ alag-thalag tirā me'yār-e-qahqaha
masnū'ī zindagī meñ ulajhte hī rah ga.e
varna jahāñ meñ kaun hai bezār-e-qahqaha
lauh-e-jahan pe naqsh hai gulzar-e-qahqaha
hai sari kaenat taraf-dar-e-qahqaha
pahle yahin pe 'alam-e-nabud-o-bud tha
khola hua hai jis jagah bazar-e-qahqaha
raftar-e-be-KHayali na raftar-e-raushni
sab se ziyaada tez hai raftar-e-qahqaha
diwar-e-mehrbani ka bhi shukriya ki ab
ta'mir kijiye koi diwar-e-qahqaha
gard-o-ghubar-e-husn se lutf-e-jahan tak
sab mein alag-thalag tera me'yar-e-qahqaha
masnu'i zindagi mein ulajhte hi rah gae
warna jahan mein kaun hai bezar-e-qahqaha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.