lauh raushan na hui marhala tai kaise ho
lauh raushan na huī marhala tai kaise ho
ab isī karb ke aalam meñ raho jaise ho
aañkh malte hue dekhā to tamāshā nikle
ḳhvāb meñ bhī nahīñ sochā thā ki tum aise ho
dil kī hālat to chhupā.e nahīñ chhuptī lekin
kam se kam pūchh liyā hotā ki tum kaise ho
sau samundar bhī ab āñkhoñ se baheñ kyā hāsil
jo shajar suukh gayā hai vo harā kaise ho
aaj yuuñ us se ḳhafā ho ke chalā aaya huuñ
apne hī aks se ā.īna ḳhafā jaise ho
lauh raushan na hui marhala tai kaise ho
ab isi karb ke aalam mein raho jaise ho
aankh malte hue dekha to tamasha nikle
KHwab mein bhi nahin socha tha ki tum aise ho
dil ki haalat to chhupae nahin chhupti lekin
kam se kam puchh liya hota ki tum kaise ho
sau samundar bhi ab aankhon se bahen kya hasil
jo shajar sukh gaya hai wo hara kaise ho
aaj yun us se KHafa ho ke chala aaya hun
apne hi aks se aaina KHafa jaise ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.