lauT aae hain miyan KHud hi dar-e-yar se hum
lauT aa.e haiñ miyāñ ḳhud hī dar-e-yār se ham
yuuñ hī kab tak lage rahte bhalā dīvār se ham
dasht-e-vahshat meñ bhī un hī se huā sāmnā phir
zindagī bhāgte phirte the jin āzār se ham
yuuñ hī be-vaj.h lahū thūkte rahnā kyā hai
yahī anjām-e-vafā hai to rahe pyaar se ham
ab to bas ye hī tamanna hai ki sahrā ho aur
thak ke lag jaa.eñ kisī ret kī dīvār se ham
āñkheñ paḌhne kā hunar hī nahīñ aatā jis ko
kyā kareñ baat bhalā aise taraf-dār se ham
adh-khile phuul kī tasvīr banā lī ham ne
ḳhuub vāqif the miyāñ vaqt kī yalġhār se ham
safar-e-ishq meñ āñkhoñ meñ na.e ḳhvāb liye
har qadam uljhe rahe qāfila-sālār se ham
lauT aae hain miyan KHud hi dar-e-yar se hum
yun hi kab tak lage rahte bhala diwar se hum
dasht-e-wahshat mein bhi un hi se hua samna phir
zindagi bhagte phirte the jin aazar se hum
yun hi be-wajh lahu thukte rahna kya hai
yahi anjam-e-wafa hai to rahe pyar se hum
ab to bas ye hi tamanna hai ki sahra ho aur
thak ke lag jaen kisi ret ki diwar se hum
aankhen paDhne ka hunar hi nahin aata jis ko
kya karen baat bhala aise taraf-dar se hum
adh-khile phul ki taswir bana li hum ne
KHub waqif the miyan waqt ki yalghaar se hum
safar-e-ishq mein aankhon mein nae KHwab liye
har qadam uljhe rahe qafila-salar se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.