lauT aaenge sham hone tak
lauT ā.eñge shaam hone tak
ya.anī girya tamām hone tak
vo kisī aur kī na ho jaa.e
merā duniyā meñ naam hone tak
us ke jalve hī ho ga.e mādūm
chāñd kā ehtirām hone tak
ain mumkin hai vo chalā aa.e
ro.ab kā inhidām hone tak
matlabī haiñ hamāre yaar sabhī
pyaar hotā hai kaam hone tak
ek lamhe kā fāsla hai 'adan'
ḳhaas hone se aam hone tak
lauT aaenge sham hone tak
yani girya tamam hone tak
wo kisi aur ki na ho jae
mera duniya mein nam hone tak
us ke jalwe hi ho gae madum
chand ka ehtiram hone tak
ain mumkin hai wo chala aae
roab ka inhidam hone tak
matlabi hain hamare yar sabhi
pyar hota hai kaam hone tak
ek lamhe ka fasla hai 'adan'
KHas hone se aam hone tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.