lauT jata hai koi bahar se
lauT jaatā hai koī bāhar se
chīḳh uThtā hai koī andar se
saare dariyāoñ ko Dakār gayā
yahī ummīd thī samandar se
zehn uḌtā hai āsmānoñ meñ
jism lipTā huā hai bistar se
ishq kar luuñ maiñ aap se ya.anī
aa.ina dil lagā le patthar se
len-dār aa ga.e haiñ andar tak
pair bāhar ga.e the chādar se
lauT jata hai koi bahar se
chiKH uThta hai koi andar se
sare dariyaon ko Dakar gaya
yahi ummid thi samandar se
zehn uDta hai aasmanon mein
jism lipTa hua hai bistar se
ishq kar lun main aap se yani
aaina dil laga le patthar se
len-dar aa gae hain andar tak
pair bahar gae the chadar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.