lauT kar wo aa nahin sakta kabhi socha nahin
lauT kar vo aa nahīñ saktā kabhī sochā nahīñ
is liye jaate hue maiñ ne use rokā nahīñ
hāsil-e-ehsās hai ik 'umr kī tishna-labī
abr kā TukḌā bhī koī shahr par barsā nahīñ
is taraf bhī intihā aur us taraf bhī intihā
vo bhī kam hañstā nahīñ aur maiñ bhī kam hañstā nahīñ
merā zauq-e-sher hai mamnūn-e-iḳhlās-e-nazar
koī fan-pāra mirā me'yār se girtā nahīñ
lafz kā koī sitāra soch kā jugnū koī
aaj bhī zulmat-gah-e-ehsās meñ chamkā nahīñ
tujh se mere rabt kā iz.hār lafzoñ meñ kahāñ
maiñ ne apne aap ko bhī is qadar chāhā nahīñ
raushnī le kar 'munavvar' maiñ gayā kis kis ke ghar
ġhair ho yā koī apnā ye kabhī dekhā nahīñ
lauT kar wo aa nahin sakta kabhi socha nahin
is liye jate hue main ne use roka nahin
hasil-e-ehsas hai ek 'umr ki tishna-labi
abr ka TukDa bhi koi shahr par barsa nahin
is taraf bhi intiha aur us taraf bhi intiha
wo bhi kam hansta nahin aur main bhi kam hansta nahin
mera zauq-e-sher hai mamnun-e-iKHlas-e-nazar
koi fan-para mera me'yar se girta nahin
lafz ka koi sitara soch ka jugnu koi
aaj bhi zulmat-gah-e-ehsas mein chamka nahin
tujh se mere rabt ka izhaar lafzon mein kahan
main ne apne aap ko bhi is qadar chaha nahin
raushni le kar 'munawwar' main gaya kis kis ke ghar
ghair ho ya koi apna ye kabhi dekha nahin
- Book : Pakistani Adab (Pg. 693)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.