lauToge na wapas main ye sach jaan raha hun
lauToge na vāpas maiñ ye sach jaan rahā huuñ
par tum ne kahā hai to chalo maan rahā huuñ
jis shaḳhs kī karte haiñ tamanna na.e laḌke
muddat se maiñ us shaḳhs kā armān rahā huuñ
mahfil meñ mujhe aaj na pahchānñe vaale
pahchān mujhe maiñ tirī pahchān rahā huuñ
ye kaun mujhe kho ke hai ranjūr pareshāñ
kis kā maiñ bahut qīmtī sāmān rahā huuñ
tā-umr rahī dafn mirī ruuh badan meñ
ya.anī ki maiñ tā-zindagī shamshān rahā huuñ
lauToge na wapas main ye sach jaan raha hun
par tum ne kaha hai to chalo man raha hun
jis shaKHs ki karte hain tamanna nae laDke
muddat se main us shaKHs ka arman raha hun
mahfil mein mujhe aaj na pahchanne wale
pahchan mujhe main teri pahchan raha hun
ye kaun mujhe kho ke hai ranjur pareshan
kis ka main bahut qimti saman raha hun
ta-umr rahi dafn meri ruh badan mein
yani ki main ta-zindagi shamshan raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.