lauTte waqt ki be-kaif thakan ko bhulen
lauTte vaqt kī be-kaif thakan ko bhūleñ
kis ke ghar jaa.eñ ki us va.ada-shikan ko bhūleñ
sahmī āñkhoñ ke savāloñ kī tapan yaad rakheñ
thartharāte hue hoñToñ kī kapan ko bhūleñ
garm sāñsoñ kī jalan sard sī aahoñ kī tapan
kaise mumkin hai ki us sho.ala-badan ko bhūleñ
sher kahne hī nahīñ detī haiñ yādeñ terī
tujh ko bhūleñ to ye aisā hai ki fan ko bhūleñ
ham vafā-kesh haiñ mere dil-e-andesha-shanās
ik tire ḳhauf se kyā apne chalan ko bhūleñ
muskurāte hī jahāñ phuul khile jaate hoñ
marnā behtar hai jo us shoḳh-badan ko bhūleñ
lauTte waqt ki be-kaif thakan ko bhulen
kis ke ghar jaen ki us wada-shikan ko bhulen
sahmi aankhon ke sawalon ki tapan yaad rakhen
thartharaate hue honTon ki kapan ko bhulen
garm sanson ki jalan sard si aahon ki tapan
kaise mumkin hai ki us shoala-badan ko bhulen
sher kahne hi nahin deti hain yaaden teri
tujh ko bhulen to ye aisa hai ki fan ko bhulen
hum wafa-kesh hain mere dil-e-andesha-shanas
ek tere KHauf se kya apne chalan ko bhulen
muskuraate hi jahan phul khile jate hon
marna behtar hai jo us shoKH-badan ko bhulen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.