lawon ke jashn-e-zar mein KHizan ko haal aaega
lavoñ ke jashn-e-zār meñ ḳhizāñ ko haal aa.egā
mire shajar ke saa.e par agar zavāl aa.egā
darūn-e-shahr-e-jehl agar jaleñgī haq kī mish.aleñ
to ḳhvāb-ḳhurda sā.ato tumheñ malāl aa.egā
judā judā rahā hai kyā faqīr raah niiñd meñ
ki zindagī ke bhaav par na ab uchhāl aa.egā
pa.e farār rishvateñ atā hoñ pāsbān ko
fasīl-e-shahr se pare yahī nikāl aa.egā
ḳhabar na thī ki zaat se karūñgā jab mukālima
to har javāb par koī nayā savāl aa.egā
dimāġh-o-dil se muflisho ye vāhima nikāl do
amīr-e-shahr nekiyāñ kueñ meñ Daal aa.egā
uruuj ke surūr meñ jo ġharq haiñ ye bastiyāñ
yahāñ zavāl aa.egā to be-misāl aa.egā
lawon ke jashn-e-zar mein KHizan ko haal aaega
mere shajar ke sae par agar zawal aaega
darun-e-shahr-e-jehl agar jalengi haq ki mishalen
to KHwab-KHurda saato tumhein malal aaega
juda juda raha hai kya faqir rah nind mein
ki zindagi ke bhaw par na ab uchhaal aaega
pae farar rishwaten ata hon pasban ko
fasil-e-shahr se pare yahi nikal aaega
KHabar na thi ki zat se karunga jab mukalima
to har jawab par koi naya sawal aaega
dimagh-o-dil se muflisho ye wahima nikal do
amir-e-shahr nekiyan kuen mein Dal aaega
uruj ke surur mein jo gharq hain ye bastiyan
yahan zawal aaega to be-misal aaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.