lawn mein baiTha darwaze par dastak sun kar chaunk paDa
lawn meñ baiThā darvāze par dastak sun kar chauñk paḌā
kaun hai jis ne vahshat toḌī mujh sā patthar chauñk paḌā
terī yaad meñ rote rote shab bhar jaagā lekin phir
hichkī sun ke kachchī niiñd meñ soyā bistar chauñk paḌā
chalte chalte us kā āñchal chhū ke aisā guzrā hai
mere jism pe kaale rañg kī shirt kā collar chauñk paḌā
maiñ ne ḳhud pe mantar paḌh ke phūñkā taaki ishq na ho
lekin us kī niilī āñkheñ dekh ke mantar chauñk paḌā
dekh ke jugnū ke shāne par parcham yaar baġhāvat kā
din kī ghaat meñ baiThā shab kā vahshī lashkar chauñk paḌā
insānoñ ke kartab dekh ke 'rāhib' paas ke jañgal meñ
niim ke peḌ kī shāḳh pe baiThā naTkhaT bandar chauñk paḌā
lawn mein baiTha darwaze par dastak sun kar chaunk paDa
kaun hai jis ne wahshat toDi mujh sa patthar chaunk paDa
teri yaad mein rote rote shab bhar jaga lekin phir
hichki sun ke kachchi nind mein soya bistar chaunk paDa
chalte chalte us ka aanchal chhu ke aisa guzra hai
mere jism pe kale rang ki shirt ka collar chaunk paDa
main ne KHud pe mantar paDh ke phunka taki ishq na ho
lekin us ki nili aankhen dekh ke mantar chaunk paDa
dekh ke jugnu ke shane par parcham yar baghawat ka
din ki ghat mein baiTha shab ka wahshi lashkar chaunk paDa
insanon ke kartab dekh ke 'rahib' pas ke jangal mein
nim ke peD ki shaKH pe baiTha naTkhaT bandar chaunk paDa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.