lazzat-andoz-e-KHalish hun sozan-e-taqdir ka
lazzat-andoz-e-KHalish hun sozan-e-taqdir ka
Nazeer Hussain Siddiqui
MORE BYNazeer Hussain Siddiqui
lazzat-andoz-e-ḳhalish huuñ sozan-e-taqdīr kā
sī rahā huuñ chaak apne dāman-e-tadbīr kā
muskurā kar is taraf chilman ko jumbish de ga.ī
zarra-zarra hil gayā yaañ zabt kī ta.amīr kā
le gayā har sunñe vaalā apne apne rang meñ
asl matlab rah gayā lekin mirī taqrīr kā
ḳhuun kar dil ko jhalak uTThegā siina nuur se
sub.h kā rang-e-shafaq dībācha hai tanvīr kā
ashk kā ik qatra-e-larzāñ sar-e-mizhgāñ huuñ maiñ
juuñ gul-e-sham.a-e-sahar huuñ muntazir ik tiir kā
ek lahn-e-muztarib hai merī mausīqī nahīñ
mere naġhmoñ meñ asar hai shevan-e-dil-gīr kā
zindagī ik ḳhvāb-e-bedārī hai bedārī nahīñ
maut hai pahlā asar is ḳhvāb kī ta.abīr kā
is do-harfī lafz meñ daftar ke daftar haiñ chhupe
dil hai ik tūmār-e-pinhāñ ishq kī tafsīr kā
kis se uljhegā ye dāman hī na hogā jab 'junūñ'
kyoñ na sāmāñ hī miTā duuñ ḳhār-e-dāman-gīr kā
lazzat-andoz-e-KHalish hun sozan-e-taqdir ka
si raha hun chaak apne daman-e-tadbir ka
muskura kar is taraf chilman ko jumbish de gai
zarra-zarra hil gaya yan zabt ki tamir ka
le gaya har sunne wala apne apne rang mein
asl matlab rah gaya lekin meri taqrir ka
KHun kar dil ko jhalak uTThega sina nur se
subh ka rang-e-shafaq dibacha hai tanwir ka
ashk ka ek qatra-e-larzan sar-e-mizhgan hun main
jun gul-e-shama-e-sahar hun muntazir ek tir ka
ek lahn-e-muztarib hai meri mausiqi nahin
mere naghmon mein asar hai shewan-e-dil-gir ka
zindagi ek KHwab-e-bedari hai bedari nahin
maut hai pahla asar is KHwab ki tabir ka
is do-harfi lafz mein daftar ke daftar hain chhupe
dil hai ek tumar-e-pinhan ishq ki tafsir ka
kis se uljhega ye daman hi na hoga jab 'junun'
kyon na saman hi miTa dun KHar-e-daman-gir ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.