lazzat-e-dard-e-jigar dost baDha deta hai
lazzat-e-dard-e-jigar dost baḌhā detā hai
zaḳhm ristā hai to kuchh aur maza detā hai
mere zaḳhmoñ pe namak roz chhiḌak detā hai
jaane kis jurm kī vo mujh ko sazā detā hai
talḳh bātoñ se mire dil ko dukhātā hai roz
merā ho ke mire zaḳhmoñ ko havā detā hai
rañg beTā bhī badal letā hai girgiT kī tarah
vaqt paḌne pe hamesha vo daġhā detā hai
jab bhī be-parda tasavvur meñ chalā aatā hai
merī nazroñ meñ koī ḳhvāb sajā detā hai
aag siine meñ mohabbat kī sulag jaatī hai
vo nigāhoñ se mujhe jab bhī pilā detā hai
Duub jaatā hai sar-e-shām vo sūraj to magar
ḳhvāhisheñ raat ke siine meñ dabā detā hai
tere aane kī tamannā meñ hī rahtā hai 'mukesh'
terī rāhoñ meñ ye palkoñ ko bichhā detā hai
lazzat-e-dard-e-jigar dost baDha deta hai
zaKHm rista hai to kuchh aur maza deta hai
mere zaKHmon pe namak roz chhiDak deta hai
jaane kis jurm ki wo mujh ko saza deta hai
talKH baaton se mere dil ko dukhata hai roz
mera ho ke mere zaKHmon ko hawa deta hai
rang beTa bhi badal leta hai girgiT ki tarah
waqt paDne pe hamesha wo dagha deta hai
jab bhi be-parda tasawwur mein chala aata hai
meri nazron mein koi KHwab saja deta hai
aag sine mein mohabbat ki sulag jati hai
wo nigahon se mujhe jab bhi pila deta hai
Dub jata hai sar-e-sham wo suraj to magar
KHwahishen raat ke sine mein daba deta hai
tere aane ki tamanna mein hi rahta hai 'mukesh'
teri rahon mein ye palkon ko bichha deta hai
- Book : Scan File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.