lazzat-e-dard ka kuchh tujhko pata hai ki nahin
lazzat-e-dard kā kuchh tujh ko patā hai ki nahīñ
nāsehā tū ne kabhī ishq kiyā hai ki nahīñ
bātoñ bātoñ meñ na bahlā.iye sach sach kahiye
aap ke paas mire dil kī davā hai ki nahīñ
vo jo rakhte haiñ use dair-o-haram tak mahdūd
aa ke dekheñ ki yahāñ par bhī ḳhudā hai ki nahīñ
karte phirte haiñ masīhā.ī jo duniyā bhar meñ
hālat-e-dil kā mirī un ko patā hai ki nahīñ
jab se dekhī hai tirī sāñvlī sūrat maiñ ne
sochtā huuñ ki koī aur ḳhudā hai ki nahīñ
apnī āñkhoñ se pilā.ī thī kabhī tū ne jo mai
nashsha us kā mirī āñkhoñ meñ phalā hai ki nahīñ
vasl kī baat jo karte haiñ batā.eñ pahle
raat kī raat koī dil meñ rahā hai ki nahīñ
DhūñDte phirte haiñ ḳhud us ko vo dīvāne se
dekho 'ālam' kā kahīñ koī patā hai ki nahīñ
lazzat-e-dard ka kuchh tujh ko pata hai ki nahin
naseha tu ne kabhi ishq kiya hai ki nahin
baaton baaton mein na bahlaiye sach sach kahiye
aap ke pas mere dil ki dawa hai ki nahin
wo jo rakhte hain use dair-o-haram tak mahdud
aa ke dekhen ki yahan par bhi KHuda hai ki nahin
karte phirte hain masihai jo duniya bhar mein
haalat-e-dil ka meri un ko pata hai ki nahin
jab se dekhi hai teri sanwli surat main ne
sochta hun ki koi aur KHuda hai ki nahin
apni aankhon se pilai thi kabhi tu ne jo mai
nashsha us ka meri aankhon mein phala hai ki nahin
wasl ki baat jo karte hain bataen pahle
raat ki raat koi dil mein raha hai ki nahin
DhunDte phirte hain KHud us ko wo diwane se
dekho 'alam' ka kahin koi pata hai ki nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.