lazzat-e-ehsas-e-gham se dil ko bahlate rahe
lazzat-e-ehsās-e-ġham se dil ko bahlāte rahe
kuchh adhūre ḳhvāb the rah rah ke yaad aate rahe
manzil-e-ġhurbat meñ pīchhe rah ga.e hushiyār log
ham divāne the bagūloñ meñ bhī itrāte rahe
luTne vāloñ se mizāj-e-shām-e-ġhurbat pūchhiye
un ko kyā ma.alūm jo tūfāñ se katrāte rahe
rasm-o-rāh-e-nau-bahārāñ kis qadar dilchasp hai
kuchh kalī khiltī rahī kuchh phuul murjhāte rahe
kyā ḳhabar raste meñ kis ne ruup kyā dhārā miyāñ
mehrbāñ vaqt-e-safar to rang barsāte rahe
rone vaale baiThe baiThe vaqt ko royā kiye
chalne vaale āñdhiy.oñ meñ bhī chale jaate rahe
bhāgte jaate haiñ ab shām-e-nazar se dūr-dūr
muddatoñ tak jo dhuñdalke ġham ko raas aate rahe
ham to saarī raat 'nāzish' bazm meñ the dam-ba-ḳhud
log andāz-e-taġhāful kī qasam khāte rahe
lazzat-e-ehsas-e-gham se dil ko bahlate rahe
kuchh adhure KHwab the rah rah ke yaad aate rahe
manzil-e-ghurbat mein pichhe rah gae hushiyar log
hum diwane the bagulon mein bhi itraate rahe
luTne walon se mizaj-e-sham-e-ghurbat puchhiye
un ko kya malum jo tufan se katraate rahe
rasm-o-rah-e-nau-bahaaran kis qadar dilchasp hai
kuchh kali khilti rahi kuchh phul murjhate rahe
kya KHabar raste mein kis ne rup kya dhaara miyan
mehrban waqt-e-safar to rang barsate rahe
rone wale baiThe baiThe waqt ko roya kiye
chalne wale aandhiyon mein bhi chale jate rahe
bhagte jate hain ab sham-e-nazar se dur-dur
muddaton tak jo dhundalke gham ko ras aate rahe
hum to sari raat 'nazish' bazm mein the dam-ba-KHud
log andaz-e-taghaful ki qasam khate rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.