lazzat-e-girya se bhi dil ki KHalish kam to nahin
lazzat-e-girya se bhī dil kī ḳhalish kam to nahīñ
ashk gauhar hī sahī zaḳhm kā marham to nahīñ
ye bhī mumkin hai ġham-e-hijr ġham-e-dahr bane
mushkileñ ishq kī sang-e-rah-e-ādam to nahīñ
ġham atā karke na samjho ki mujhe shaad kiyā
dil meñ sab kuchh hai magar hausla-e-ġham to nahīñ
kārvāñ aur chale aur chale aur chale
rahnumā sāhib-e-manzil hai magar ham to nahīñ
chehra-e-shab pe kuchh anvār-e-sahar haiñ lekin
ham jis ummīd meñ jaage the vo aalam to nahīñ
lazzat-e-girya se bhi dil ki KHalish kam to nahin
ashk gauhar hi sahi zaKHm ka marham to nahin
ye bhi mumkin hai gham-e-hijr gham-e-dahr bane
mushkilen ishq ki sang-e-rah-e-adam to nahin
gham ata karke na samjho ki mujhe shad kiya
dil mein sab kuchh hai magar hausla-e-gham to nahin
karwan aur chale aur chale aur chale
rahnuma sahib-e-manzil hai magar hum to nahin
chehra-e-shab pe kuchh anwar-e-sahar hain lekin
hum jis ummid mein jage the wo aalam to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.