lazzat-e-lams mar na jae kahin
lazzat-e-lams mar na jaa.e kahīñ
phir ye dariyā utar na jaa.e kahīñ
tujh ko dekhā to dekhtā hī rahā
ab ye ziddī nazar na jaa.e kahīñ
jang jaarī hai rishte-nātoñ meñ
sab asāsa bikhar na jaa.e kahīñ
ḳhuun meñ tar-ba-tar qabīle haiñ
khel had se guzar na jaa.e kahīñ
maut par e'tibār hai apnā
vo bhī ab ki mukar na jaa.e kahīñ
haath siine pe mere rahne de
dil kī dhaḌkan Thahar na jaa.e kahīñ
roz jaane kī bāteñ kartā hai
yaar 'fārūq' par na jaa.e kahīñ
lazzat-e-lams mar na jae kahin
phir ye dariya utar na jae kahin
tujh ko dekha to dekhta hi raha
ab ye ziddi nazar na jae kahin
jang jari hai rishte-naton mein
sab asasa bikhar na jae kahin
KHun mein tar-ba-tar qabile hain
khel had se guzar na jae kahin
maut par e'tibar hai apna
wo bhi ab ki mukar na jae kahin
hath sine pe mere rahne de
dil ki dhaDkan Thahar na jae kahin
roz jaane ki baaten karta hai
yar 'faruq' par na jae kahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.