lazzat-e-ulfat se dil masrur hona chahiye
lazzat-e-ulfat se dil masrūr honā chāhiye
jo bhī hai shikva-gila sab duur honā chāhiye
dekh kar hāl-e-pareshāñ log sau bāteñ kareñ
pyaar meñ itnā nahīñ majbūr honā chāhiye
husn ab had se ziyāda naaz dikhlāne lagā
ishq tujh ko bhī zarā maġhrūr honā chāhiye
la.al-o-gauhar ke evaz patthar bhī bik jaa.e yahāñ
bechne vaalā faqat mash.hūr honā chāhiye
dekhte hī log ham ko banda-e-momin kaheñ
is qadar chehre pe apne nuur honā chāhiye
aaj bhī ādhe-adhūre ham se 'tashna' log haiñ
aap kā kuchh to karam bharpūr honā chāhiye
lazzat-e-ulfat se dil masrur hona chahiye
jo bhi hai shikwa-gila sab dur hona chahiye
dekh kar haal-e-pareshan log sau baaten karen
pyar mein itna nahin majbur hona chahiye
husn ab had se ziyaada naz dikhlane laga
ishq tujh ko bhi zara maghrur hona chahiye
lal-o-gauhar ke ewaz patthar bhi bik jae yahan
bechne wala faqat mashhur hona chahiye
dekhte hi log hum ko banda-e-momin kahen
is qadar chehre pe apne nur hona chahiye
aaj bhi aadhe-adhure hum se 'tashna' log hain
aap ka kuchh to karam bharpur hona chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.