lazzat-e-ulfat se koi aashna hota nahin
lazzat-e-ulfat se koī āshnā hotā nahīñ
do diloñ ke biich jab tak fāsla hotā nahīñ
mujh ko is darja navāzā hai kisī ke ishq ne
munqata.a ab ranj-o-ġham kā silsila hotā nahīñ
bevafā.ī se tirī maiñ ḳhuub vāqif huuñ magar
apne dil ko kyā karūñ mujh se gila hotā nahīñ
bas tabhī tak terī ḳhush-fahmī kā baaqī hai bharam
aa.ine se terā jab tak sāmnā hotā nahīñ
ḳhvāhisheñ kar detī haiñ maa.il burā.ī kī taraf
varna koī aadmī az-ḳhud burā hotā nahīñ
baat to jab hai pas-e-tauba rahe sābit qadam
sirf tauba kar ke koī pārsā hotā nahīñ
pūjtā hai har koī chaḌhtā huā sūraj 'nasīr'
Dūbtā sūraj kisī kā bhī ḳhudā hotā nahīñ
lazzat-e-ulfat se koi aashna hota nahin
do dilon ke bich jab tak fasla hota nahin
mujh ko is darja nawaza hai kisi ke ishq ne
munqata ab ranj-o-gham ka silsila hota nahin
bewafai se teri main KHub waqif hun magar
apne dil ko kya karun mujh se gila hota nahin
bas tabhi tak teri KHush-fahmi ka baqi hai bharam
aaine se tera jab tak samna hota nahin
KHwahishen kar deti hain mail burai ki taraf
warna koi aadmi az-KHud bura hota nahin
baat to jab hai pas-e-tauba rahe sabit qadam
sirf tauba kar ke koi parsa hota nahin
pujta hai har koi chaDhta hua suraj 'nasir'
Dubta suraj kisi ka bhi KHuda hota nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.