lazzat-e-wasl muKHtasar mat rakh
lazzat-e-vasl muḳhtasar mat rakh
shab kī taqdīr meñ sahar mat rakh
aag kartī nahīñ kisī kā lihāz
baañs ke jañgaloñ meñ ghar mat rakh
rizq bhī be-sabab nahīñ miltā
apne bachchoñ ko be-hunar mat rakh
tujh ko sahrā meñ raqs karnā hai
paañv se bāñdh kar bhañvar mat rakh
ġhair mumkin nahīñ falak kī sair
nā-umīdī ko ham-safar mat rakh
tujh ko sonā hai qabr meñ apnī
mere a.amāl par nazar mat rakh
guftugū chal rahī hai tāroñ se
shaam kī aañkh meñ sahar mat rakh
lazzat-e-wasl muKHtasar mat rakh
shab ki taqdir mein sahar mat rakh
aag karti nahin kisi ka lihaz
bans ke jangalon mein ghar mat rakh
rizq bhi be-sabab nahin milta
apne bachchon ko be-hunar mat rakh
tujh ko sahra mein raqs karna hai
panw se bandh kar bhanwar mat rakh
ghair mumkin nahin falak ki sair
na-umidi ko ham-safar mat rakh
tujh ko sona hai qabr mein apni
mere aamal par nazar mat rakh
guftugu chal rahi hai taron se
sham ki aankh mein sahar mat rakh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.