le aai is maqam pe ab gumrahi mujhe
le aai is maqam pe ab gumrahi mujhe
Ustad Azmat Hussain Khan
MORE BYUstad Azmat Hussain Khan
le aa.ī is maqām pe ab gumrahī mujhe
manzil ne baḌh ke aap hī āvāz dī mujhe
ye baat 'umr-bhar kā sukūñ de ga.ī mujhe
bhūle se us ne yaad kiyā thā kabhī mujhe
yārab tire karam kī koī intihā nahīñ
dāman ko apne dekh ke sharm aa ga.ī mujhe
manzil pe pūchhte haiñ nishāñ mujh se ahl-e-hosh
le aa.ī hai kahāñ ye mirī gumrahī mujhe
jab tak rahī ḳhushī to 'ajab iztirāb thā
jab ġham milā to aap hī niiñd aa ga.ī mujhe
'maikash' us ik nazar pe mai-o-mai-kada nisār
jis ne tamām-‘umr ko dī sarḳhushī mujhe
le aai is maqam pe ab gumrahi mujhe
manzil ne baDh ke aap hi aawaz di mujhe
ye baat 'umr-bhar ka sukun de gai mujhe
bhule se us ne yaad kiya tha kabhi mujhe
yarab tere karam ki koi intiha nahin
daman ko apne dekh ke sharm aa gai mujhe
manzil pe puchhte hain nishan mujh se ahl-e-hosh
le aai hai kahan ye meri gumrahi mujhe
jab tak rahi KHushi to 'ajab iztirab tha
jab gham mila to aap hi nind aa gai mujhe
'maikash' us ek nazar pe mai-o-mai-kada nisar
jis ne tamam-‘umr ko di sarKHushi mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.