le chal wahan ab ai dil-e-shorida-sar mujhe
le chal vahāñ ab ai dil-e-shorīda-sar mujhe
un kī hī kuchh ḳhabar ho na apnī ḳhabar mujhe
parda-kushā-e-rāz hai nairangī-e-jamāl
kab tak fareb-e-jalva-e-barq-o-sharar mujhe
kaisā sukūñ ki phir sar-e-vīrāñ meñ josh hai
phir yaad aa rahe haiñ tire bām-o-dar mujhe
dil kyā hai ek 'aks-e-ruḳh-e-husn-e-be-hijāb
ā.īna kyā hai jalva-e-ā.īna-gar mujhe
tum se karūñ maiñ apnī tabāhī kā kyā gila
Duubī hai le ke hasrat-e-dīvāna-gar mujhe
le chal wahan ab ai dil-e-shorida-sar mujhe
un ki hi kuchh KHabar ho na apni KHabar mujhe
parda-kusha-e-raaz hai nairangi-e-jamal
kab tak fareb-e-jalwa-e-barq-o-sharar mujhe
kaisa sukun ki phir sar-e-viran mein josh hai
phir yaad aa rahe hain tere baam-o-dar mujhe
dil kya hai ek 'aks-e-ruKH-e-husn-e-be-hijab
aaina kya hai jalwa-e-aina-gar mujhe
tum se karun main apni tabahi ka kya gila
Dubi hai le ke hasrat-e-diwana-gar mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.