le gaya dil kaun mera sau bashar ke samne
le gayā dil kaun merā sau bashar ke sāmne
kis kī sūrat phirtī hai yā-rab nazar ke sāmne
imtihān-e-husn ā.īne meñ lete haiñ mudām
rakh ke vo tasvīr-e-yūsuf ko nazar ke sāmne
duur ābādī se rakhnā apne dīvāne ko yaar
ghar na aa jaa.e kisī kā chashm-e-tar ke sāmne
ḳhat kahāñ vo intizār-e-ḳhat kī bhī lazzat ga.ī
haif kyoñ royā maiñ us ke nāma-bar ke sāmne
yaar se 'nāyāb' ab muñh phernā achchhā nahīñ
tūtī-e-dil bāñdh shahbāz-e-nazar ke sāmne
le gaya dil kaun mera sau bashar ke samne
kis ki surat phirti hai ya-rab nazar ke samne
imtihan-e-husn aaine mein lete hain mudam
rakh ke wo taswir-e-yusuf ko nazar ke samne
dur aabaadi se rakhna apne diwane ko yar
ghar na aa jae kisi ka chashm-e-tar ke samne
KHat kahan wo intizar-e-KHat ki bhi lazzat gai
haif kyon roya main us ke nama-bar ke samne
yar se 'nayab' ab munh pherna achchha nahin
tuti-e-dil bandh shahbaz-e-nazar ke samne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.