le gaya wo sath apne husn sara sham ka
le gayā vo saath apne husn saarā shaam kā
hijr kī tasvīr hai ab har nazāra shaam kā
ḳhema-zan haiñ chāñd ke raste meñ gahrī badliyāñ
āñdhiyoñ kī zad meñ hai pahlā sitāra shaam kā
raushnī aur tīrgī kī sarhadeñ thāme hue
darmiyāñ din raat ke bahtā hai dhārā shaam kā
lauT kar vo shaam se pahle hī ghar aane lagā
un se shāyad chhin gayā koī sahārā shaam kā
Dūbte sūraj kā manzar dekhnā 'jāved' roz
mashġhala hai ek muddat se hamārā shaam kā
le gaya wo sath apne husn sara sham ka
hijr ki taswir hai ab har nazara sham ka
KHema-zan hain chand ke raste mein gahri badliyan
aandhiyon ki zad mein hai pahla sitara sham ka
raushni aur tirgi ki sarhaden thame hue
darmiyan din raat ke bahta hai dhaara sham ka
lauT kar wo sham se pahle hi ghar aane laga
un se shayad chhin gaya koi sahaara sham ka
Dubte suraj ka manzar dekhna 'jawed' roz
mashghala hai ek muddat se hamara sham ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.