le kahin dur chal ai gham-e-dil mujhe
le kahīñ duur chal ai ġham-e-dil mujhe
raas aa.ī nahīñ terī mahfil mujhe
guzre haiñ din jise dekhte dekhte
dekhtā hī nahīñ ab vo qātil mujhe
dil kī duniyā kā aalam batā duuñ bhalā
paas kuchh bhī nahīñ sab hai hāsil mujhe
Dūbtā hī rahā aur ḳhāmosh thā
dekhtā rah gayā der sāhil mujhe
ye sadā de rahā kaun 'ahsan' batā
raah kaisī dikhā.ī hai manzil mujhe
le kahin dur chal ai gham-e-dil mujhe
ras aai nahin teri mahfil mujhe
guzre hain din jise dekhte dekhte
dekhta hi nahin ab wo qatil mujhe
dil ki duniya ka aalam bata dun bhala
pas kuchh bhi nahin sab hai hasil mujhe
Dubta hi raha aur KHamosh tha
dekhta rah gaya der sahil mujhe
ye sada de raha kaun 'ahsan' bata
rah kaisi dikhai hai manzil mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.