le ke pahuncha iztirab-e-dil kahan
le ke pahuñchā iztirāb-e-dil kahāñ
maiñ kahāñ aur aap kī mahfil kahāñ
jis ne ḳhud tūfāñ meñ kushtī Daal dī
us ke dil meñ hasrat-e-sāhil kahāñ
fasl-e-gul bhī hai shab-e-mahtāb bhī
sab sahī lekin sukūn-e-dil kahāñ
maiñ kahīñ mahfil se uTh jā.ūñ agar
phir tirī mahfil tirī mahfil kahāñ
baat to jab hai ki sūrat ho savāl
haath jo phailā.e vo saa.il kahāñ
ham-safar jab yaad ho jaa.e tirī
phir ḳhayāl-e-dūrī-e-manzil kahāñ
hāl-e-dil kis ko sunātā hai 'sa.īd'
ab jahāñ meñ sāhibān-e-dil kahāñ
le ke pahuncha iztirab-e-dil kahan
main kahan aur aap ki mahfil kahan
jis ne KHud tufan mein kushti Dal di
us ke dil mein hasrat-e-sahil kahan
fasl-e-gul bhi hai shab-e-mahtab bhi
sab sahi lekin sukun-e-dil kahan
main kahin mahfil se uTh jaun agar
phir teri mahfil teri mahfil kahan
baat to jab hai ki surat ho sawal
hath jo phailae wo sail kahan
ham-safar jab yaad ho jae teri
phir KHayal-e-duri-e-manzil kahan
haal-e-dil kis ko sunata hai 'said'
ab jahan mein sahiban-e-dil kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.