le ke phir zaKHmon ki saughat bahaaro aao
le ke phir zaḳhmoñ kī sauġhāt bahāro aao
chashm-e-pur-nam ke muqābil to phuhāro aao
chand tinkoñ kā jalānā to baḌī baat nahīñ
azm ko mere jalāo to sharāro aao
ġham kā sailāb ġhazab dil kī shikasta kashtī
mauj ke saath hī yādoñ ke kināro aao
takte rahte ho kise duur se hairānī se
dil ke sahrā meñ kabhī chāñd sitāro aao
āmad-e-yār ho har samt kañval khulte huuñ
ḳhvāb meñ hī kabhī rañgīn nazāro aao
le ke phir zaKHmon ki saughat bahaaro aao
chashm-e-pur-nam ke muqabil to phuhaaro aao
chand tinkon ka jalana to baDi baat nahin
azm ko mere jalao to shararo aao
gham ka sailab ghazab dil ki shikasta kashti
mauj ke sath hi yaadon ke kinaro aao
takte rahte ho kise dur se hairani se
dil ke sahra mein kabhi chand sitaro aao
aamad-e-yar ho har samt kanwal khulte hun
KHwab mein hi kabhi rangin nazaro aao
- Book : Salsabeel (Pg. 75)
- Author : Ahmed Shahid Khan
- Publication : Ahmed Shahid Khan, Dep. Electronics Enginering (1999)
- Edition : 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.