le ke yaadon ke aaj nazrane
le ke yādoñ ke aaj nazrāne
ai vatan aa.e tere dīvāne
koī gulshan-parast kyā jaane
phuul meñ kis qadar haiñ vīrāne
ham ko jo kuchh diyā hai duniyā ne
ham samajhte haiñ yā ḳhudā jaane
dair-o-ka.aba meñ jī nahīñ lagtā
dil salāmat hazār vīrāne
jin ko be-e'tibār samjhā hai
kaam ā.eñge ye hī dīvāne
le ke yaadon ke aaj nazrane
ai watan aae tere diwane
koi gulshan-parast kya jaane
phul mein kis qadar hain virane
hum ko jo kuchh diya hai duniya ne
hum samajhte hain ya KHuda jaane
dair-o-kaba mein ji nahin lagta
dil salamat hazar virane
jin ko be-e'tibar samjha hai
kaam aaenge ye hi diwane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.