le ke yaadon ke chaman-zar kahan se aai
le ke yādoñ ke chaman-zār kahāñ se aa.ī
ye sabā-e-karam-āsār kahāñ se aa.ī
dhuup hī dhuup meñ zehnoñ ko safar karnā hai
dasht-e-ehsās meñ dīvār kahāñ se aa.ī
maiñ ne manzar hī nahīñ dekhe haiñ pas-manzar bhī
mujh meñ ab jur.at-e-dīdār kahāñ se aa.ī
dekhiye ahd-e-guzashta ke mohabbat vaale
sochiye azmat-e-kirdār kahāñ se aa.ī
chhū ke aa.ī hai sabā aaj zarūr un ke qadam
varna ye shoḳhī-e-raftār kahāñ se aa.ī
kyā koī dil kā ḳharīdār idhar aa niklā
is qadar garmī-e-bāzār kahāñ se aa.ī
mere hoñToñ pe to ik giit thā fariyād na thī
phir ye zanjīr kī jhankār kahāñ se aa.ī
itnī nudrat tire ash.ār meñ pahle to na thī
'shān' ye zīnat-e-afkār kahāñ se aa.ī
le ke yaadon ke chaman-zar kahan se aai
ye saba-e-karam-asar kahan se aai
dhup hi dhup mein zehnon ko safar karna hai
dasht-e-ehsas mein diwar kahan se aai
main ne manzar hi nahin dekhe hain pas-manzar bhi
mujh mein ab jurat-e-didar kahan se aai
dekhiye ahd-e-guzashta ke mohabbat wale
sochiye azmat-e-kirdar kahan se aai
chhu ke aai hai saba aaj zarur un ke qadam
warna ye shoKHi-e-raftar kahan se aai
kya koi dil ka KHaridar idhar aa nikla
is qadar garmi-e-bazar kahan se aai
mere honTon pe to ek git tha fariyaad na thi
phir ye zanjir ki jhankar kahan se aai
itni nudrat tere ashaar mein pahle to na thi
'shan' ye zinat-e-afkar kahan se aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.