le liya diwangi ne ek farzane ka rang
le liyā dīvāngī ne ek farzāne kā rang
chūmte hī sham.a ko nikhrā hai parvāne kā rang
ham-safar merī bhī ik mumtāz hai jis ke tufail
aagre ke taaj sā hai mere kāshāne kā rang
ai mire saaqī haTā de ruḳh se parda ek baar
dhuñdlā dhuñdlā lag rahā hai aaj maiḳhāne kā rang
sāhira hai terī qurbat dekh le ḳhud nāznīñ
dekhte bantā hai ab to tere dīvāne kā rang
aap kī tasvīr siine se lagā luuñ ai sanam
is se behtar hogā kyā is dil ko bahlāne kā rang
le liya diwangi ne ek farzane ka rang
chumte hi shama ko nikhra hai parwane ka rang
ham-safar meri bhi ek mumtaz hai jis ke tufail
aagre ke taj sa hai mere kashane ka rang
ai mere saqi haTa de ruKH se parda ek bar
dhundla dhundla lag raha hai aaj maiKHane ka rang
sahira hai teri qurbat dekh le KHud naznin
dekhte banta hai ab to tere diwane ka rang
aap ki taswir sine se laga lun ai sanam
is se behtar hoga kya is dil ko bahlane ka rang
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.