le liya dil ye dil-lagi kya hai
le liyā dil ye dil-lagī kyā hai
tum rulāte ho ye hañsī kyā hai
ishq bād-e-fanā bhī miT na sakā
maut kyā shai hai zindagī kyā hai
roz-o-shab haiñ itāb-o-jaur-o-sitam
un ke altāf meñ kamī kyā hai
ai buto ye ġhurūr sūrat par
tum ḳhudā ban ga.e ḳhudī kyā hai
dil-e-be-māya hai ḳhazīna-e-ġham
muflisī meñ mujhe kamī kyā hai
ḳhaak ko āsmāñ se kyā nisbat
merī aur un kī dostī kyā hai
nashsha-e-dīd meñ jo ho be-ḳhud
phir use lutf-e-mai-kashī kyā hai
chārāgar vaqf-e-chārasāzī haiñ
ik musībat hai dostī kyā hai
nūr-e-ulfat kī hai ye jalvagarī
varna 'kaukab' meñ raushnī kyā hai
le liya dil ye dil-lagi kya hai
tum rulate ho ye hansi kya hai
ishq baad-e-fana bhi miT na saka
maut kya shai hai zindagi kya hai
roz-o-shab hain itab-o-jaur-o-sitam
un ke altaf mein kami kya hai
ai buto ye ghurur surat par
tum KHuda ban gae KHudi kya hai
dil-e-be-maya hai KHazina-e-gham
muflisi mein mujhe kami kya hai
KHak ko aasman se kya nisbat
meri aur un ki dosti kya hai
nashsha-e-did mein jo ho be-KHud
phir use lutf-e-mai-kashi kya hai
chaaragar waqf-e-chaarasazi hain
ek musibat hai dosti kya hai
nur-e-ulfat ki hai ye jalwagari
warna 'kaukab' mein raushni kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.