le liya wada un ke aane ka
le liyā va.ada un ke aane kā
ab muqaddar ġharīb-ḳhāne kā
khul gayā raaz muskurāne kā
tum ko nukta milā bahāne kā
roz hī inqalāb aate haiñ
kyā bharosa kisī zamāne kā
ek sayyād ek maiñ ik barq
sab ko armāñ hai āshiyāne kā
dil meñ bhī kuchh hai ai jabīn-e-niyāz
tū to hai naqsh āstāne kā
tum to hone lage ho sanjīda
ab maiñ aañsū nahīñ bahāne kā
jāneñ anjām barq yā sayyād
hai to āġhāz āshiyāne kā
qismat-e-ishq yā ho daulat-e-husn
kis ko shikva nahīñ zamāne kā
ashk-e-rangīñ mirā fasāna hai
zindagī naam hai fasāne kā
yaas hai ik harā-bharā buuTā
mere dil ke nigār-ḳhāne kā
ḳhauf-e-sayyād se laraztā huuñ
dil huuñ maiñ apne āshiyāne kā
zindagī hārne lagī himmat
ab rahā kyā hai āzmāne kā
gul kī ḳhātir chaman meñ baste haiñ
aur bahāna hai āshiyāne kā
mahfil-e-ġhair meñ zarā bach kar
maiñ kahīñ tum ko yaad aane kā
saath tauba lagī huī thī 'zakī'
aur khulā dar sharāb-ḳhāne kā
le liya wada un ke aane ka
ab muqaddar gharib-KHane ka
khul gaya raaz muskurane ka
tum ko nukta mila bahane ka
roz hi inqalab aate hain
kya bharosa kisi zamane ka
ek sayyaad ek main ek barq
sab ko arman hai aashiyane ka
dil mein bhi kuchh hai ai jabin-e-niyaz
tu to hai naqsh aastane ka
tum to hone lage ho sanjida
ab main aansu nahin bahane ka
jaanen anjam barq ya sayyaad
hai to aaghaz aashiyane ka
qismat-e-ishq ya ho daulat-e-husn
kis ko shikwa nahin zamane ka
ashk-e-rangin mera fasana hai
zindagi nam hai fasane ka
yas hai ek hara-bhara buTa
mere dil ke nigar-KHane ka
KHauf-e-sayyaad se larazta hun
dil hun main apne aashiyane ka
zindagi haarne lagi himmat
ab raha kya hai aazmane ka
gul ki KHatir chaman mein baste hain
aur bahana hai aashiyane ka
mahfil-e-ghair mein zara bach kar
main kahin tum ko yaad aane ka
sath tauba lagi hui thi 'zaki'
aur khula dar sharab-KHane ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.