le uDa aise tera dhyan mujhe
le uḌā aise tirā dhyān mujhe
tū bhī lagtī hai ab anjān mujhe
har sadā terī sadā lagtī hai
kyā batāte haiñ mire kaan mujhe
ret kā Dher banā de na kahīñ
dhuup meñ taptā bayābān mujhe
sansanāte haiñ dar-o-bām-e-ḳhayāl
kar gayā kaun ye vīrān mujhe
maiñ ne pahchān liyā hai tujh ko
ab na kar muft pareshān mujhe
rach ga.ī jis meñ tire dard kī dhuup
maiñ vahī 'shām' huuñ pahchān mujhe
le uDa aise tera dhyan mujhe
tu bhi lagti hai ab anjaan mujhe
har sada teri sada lagti hai
kya batate hain mere kan mujhe
ret ka Dher bana de na kahin
dhup mein tapta bayaban mujhe
sansanate hain dar-o-baam-e-KHayal
kar gaya kaun ye viran mujhe
main ne pahchan liya hai tujh ko
ab na kar muft pareshan mujhe
rach gai jis mein tere dard ki dhup
main wahi 'sham' hun pahchan mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.