le uDe phul se KHushbu ko faza mahkae
le uḌe phuul se ḳhushbū ko fazā mahkā.e
koī kar ke to ye dikhlā.e magar tum sā kahāñ
merā ḳhāmosh sā lahja bhī bahut boltā hai
bin kahe jaan vo sab jaa.e magar tum sā kahāñ
merī parvāz pe nāzāñ jo mire saath uḌe
ho mirī tāqat-e-parvāz magar tum sā kahāñ
kho ke tujh ko tire paane meñ bahut haiñ bhaTke
gard ahbāb bahut haa.e magar tum sā kahāñ
merī har bhuul pe pyaar aa.e jise bachchoñ sā
kaan khīñche mujhe samjhā.e magar tum sā kahāñ
zindagī merī thī aur us ko 'jiyā' auroñ ne
mujh ko pal mere jo lauTā.e magar tum sā kahāñ
le uDe phul se KHushbu ko faza mahkae
koi kar ke to ye dikhlae magar tum sa kahan
mera KHamosh sa lahja bhi bahut bolta hai
bin kahe jaan wo sab jae magar tum sa kahan
meri parwaz pe nazan jo mere sath uDe
ho meri taqat-e-parwaz magar tum sa kahan
kho ke tujh ko tere pane mein bahut hain bhaTke
gard ahbab bahut hae magar tum sa kahan
meri har bhul pe pyar aae jise bachchon sa
kan khinche mujhe samjhae magar tum sa kahan
zindagi meri thi aur us ko 'jiya' auron ne
mujh ko pal mere jo lauTae magar tum sa kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.