lekin tujh par khulta kab hai
lekin tujh par khultā kab hai
merī chup kā jo matlab hai
uub chukā hai ye har shai se
dil kī hālat ġhaur-talab hai
ziist ye kyā hai kuchh bhī nahīñ bas
Dor-e-nafas par ik kartab hai
ishq-qafas meñ qaid parinda
ho ke rihā bhī uḌtā kab hai
in āñkhoñ kī nazar utāro
in meñ qaid piyā kī chhab hai
lekin tujh par khulta kab hai
meri chup ka jo matlab hai
ub chuka hai ye har shai se
dil ki haalat ghaur-talab hai
zist ye kya hai kuchh bhi nahin bas
Dor-e-nafas par ek kartab hai
ishq-qafas mein qaid parinda
ho ke riha bhi uDta kab hai
in aankhon ki nazar utaro
in mein qaid piya ki chhab hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.