leTa hua hun saya-e-ghurbat mein ghar se dur
leTā huā huuñ sāya-e-ġhurbat meñ ghar se duur
dil se qarīñ haiñ ahl-e-vatan aur nazar se duur
jab tak hai dil rahīn-e-ma.āl-o-asīr-e-aql
rahnā hai tujh se aur tirī rahguzar se duur
ai kaif un kī mast nigāhoñ meñ chhup ke aa
ai dard-e-dam zadan meñ ho mere jigar se duur
ik din ulaTne vaalī hai zāhid bisāt-e-zohd
kab tak rahegā dil nigah-e-fitna-gar se duur
vo koī zindagī hai javānī hai vo koī
ai dost jo hai tere jamāl-e-nazar se duur
kyā aa.ī tere jī meñ ki taqdīr yuuñ mujhe
pheñkā hai lā ke vādī-e-ġhurbat meñ ghar se duur
ai husn-e-be-panāh batā.e koī mujhe
duniyā kī kaun chiiz hai tere asar se duur
allāh re nasīb ki paa.ī hai vo fuġhāñ
jo umr bhar rahī hai fareb-e-asar se duur
'altāf' naaz apnī gadā.ī pe hai mujhe
dāman hai us kā sāya-e-la.al-o-gohar se duur
leTa hua hun saya-e-ghurbat mein ghar se dur
dil se qarin hain ahl-e-watan aur nazar se dur
jab tak hai dil rahin-e-maal-o-asir-e-aql
rahna hai tujh se aur teri rahguzar se dur
ai kaif un ki mast nigahon mein chhup ke aa
ai dard-e-dam zadan mein ho mere jigar se dur
ek din ulaTne wali hai zahid bisat-e-zohd
kab tak rahega dil nigah-e-fitna-gar se dur
wo koi zindagi hai jawani hai wo koi
ai dost jo hai tere jamal-e-nazar se dur
kya aai tere ji mein ki taqdir yun mujhe
phenka hai la ke wadi-e-ghurbat mein ghar se dur
ai husn-e-be-panah batae koi mujhe
duniya ki kaun chiz hai tere asar se dur
allah re nasib ki pai hai wo fughan
jo umr bhar rahi hai fareb-e-asar se dur
'altaf' naz apni gadai pe hai mujhe
daman hai us ka saya-e-lal-o-gohar se dur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.