libas-e-chaak mein aiwan ke aage nahin jati
libās-e-chāk meñ aivān ke aage nahīñ jaatī
farāsat yuuñ hī har sultān ke aage nahīñ jaatī
maiñ tai kartā huuñ rabt-o-zabt kī sab manzileñ phir bhī
rifāqat jaan aur pahchān ke aage nahīñ jaatī
rihā.ish to sabhī kī hai isī bāzār meñ lekin
nazar hī ab mirī sāmān ke aage nahīñ jaatī
junūñ meñ regzāroñ kā irāda kar rahā huuñ maiñ
savārī koī naḳhlistān ke aage nahīñ jaatī
ye kis vīrān hujre ko basānā chāhtā huuñ maiñ
koī parchhā.īñ bhī dālān ke aage nahīñ jaatī
sunā.ī de bhī kyā tum ko ki jis ko zaat kahte ho
sadā merī usī maidān ke aage nahīñ jaatī
bayān-e-harf ko meñ tuul detā huuñ magar 'rāhat'
kahānī shauq kī vijdān ke aage nahīñ jaatī
libas-e-chaak mein aiwan ke aage nahin jati
farasat yun hi har sultan ke aage nahin jati
main tai karta hun rabt-o-zabt ki sab manzilen phir bhi
rifaqat jaan aur pahchan ke aage nahin jati
rihaish to sabhi ki hai isi bazar mein lekin
nazar hi ab meri saman ke aage nahin jati
junun mein regzaron ka irada kar raha hun main
sawari koi naKHlistan ke aage nahin jati
ye kis viran hujre ko basana chahta hun main
koi parchhain bhi dalan ke aage nahin jati
sunai de bhi kya tum ko ki jis ko zat kahte ho
sada meri usi maidan ke aage nahin jati
bayan-e-harf ko mein tul deta hun magar 'rahat'
kahani shauq ki wijdan ke aage nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.