libas-e-faqr mein hum ko jo KHaksar mile
libās-e-faqr meñ ham ko jo ḳhāksār mile
unhīñ ke dar pe salātīn-e-rozgār mile
vo raaz jis se sulagtā rahā hai dil kah deñ
hamāre dil sā agar koī rāzdār mile
sharāb ḳhāna-e-chishtī meñ bhī nazar aa.e
hameñ jo ulfat-e-nānak ke bāda-ḳhvār mile
ġham-e-jahāñ-nigarī kā safar-e-qayāmat thā
har ek zarre ke siine meñ kohsār mile
koī bhī dūrī-e-manzil nahīñ agar 'darshan'
jahāñ ko merā junūn-e-ḳhirad-shikār mile
libas-e-faqr mein hum ko jo KHaksar mile
unhin ke dar pe salatin-e-rozgar mile
wo raaz jis se sulagta raha hai dil kah den
hamare dil sa agar koi raazdar mile
sharab KHana-e-chishti mein bhi nazar aae
hamein jo ulfat-e-nanak ke baada-KHwar mile
gham-e-jahan-nigari ka safar-e-qayamat tha
har ek zarre ke sine mein kohsar mile
koi bhi duri-e-manzil nahin agar 'darshan'
jahan ko mera junun-e-KHirad-shikar mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.