libas-e-zist kabhi yun bhi tera darshan ho
libās-e-zīst kabhī yuuñ bhī terā darshan ho
sajī sajā.ī huī jaise koī dulhan ho
ye qaht-e-sher paḌā ho na qaht-e-ġham ke sabab
charāġh itnā hī jaltā hai jitnā īñdhan ho
ye maiñ hī huuñ jo udāsī nikāltā huuñ tirī
har ik fasīl meñ lāzim nahīñ ki rauzan ho
tū apne ḳhvāb mirī aañkh se na dekhā kar
baratne ke liye behtar hai apnā bartan ho
ajiib jaldī thī bachpan meñ kab baḌe hoñge
baḌe hue haiñ to jī chāhtā hai bachpan ho
kaḌī jo TuuTī to sābit nahīñ rahī zanjīr
aham hai vo bhale chhoTā sā koī bandhan ho
libas-e-zist kabhi yun bhi tera darshan ho
saji sajai hui jaise koi dulhan ho
ye qaht-e-sher paDa ho na qaht-e-gham ke sabab
charagh itna hi jalta hai jitna indhan ho
ye main hi hun jo udasi nikalta hun teri
har ek fasil mein lazim nahin ki rauzan ho
tu apne KHwab meri aankh se na dekha kar
baratne ke liye behtar hai apna bartan ho
ajib jaldi thi bachpan mein kab baDe honge
baDe hue hain to ji chahta hai bachpan ho
kaDi jo TuTi to sabit nahin rahi zanjir
aham hai wo bhale chhoTa sa koi bandhan ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.