lihaz karte adab ehtiram karte hue
lihāz karte adab ehtirām karte hue
guzar rahā huuñ mohabbat ko aam karte hue
ye raat aa ke mujhe phir se joḌ detī hai
maiñ TuuT jaatā huuñ din iḳhtitām karte hue
baġhair zād-e-safar ham pahuñch ga.e manzil
bhaTakte girte sambhalte qayām karte hue
kisī kā koī bhī kirdār rah na jaa.e kahīñ
ḳhayāl rakhnā kahānī tamām karte hue
mirā zamīr malāmat kare hai yuuñ mujh par
mujhe jo dekhe hai tujh ko salām karte hue
ye mere pusta-e-jāñ meñ shigāf the lekin
kisī ne dekhā nahīñ rok thaam karte hue
vo baat baat pe nārāz hone lagtā hai
so ḳhauf aatā hai us se kalām karte hue
koī mazāq nahīñ umr bhar kī mehnat ko
kaleja chāhiye ġhairoñ ke naam karte hue
lihaz karte adab ehtiram karte hue
guzar raha hun mohabbat ko aam karte hue
ye raat aa ke mujhe phir se joD deti hai
main TuT jata hun din iKHtitam karte hue
baghair zad-e-safar hum pahunch gae manzil
bhaTakte girte sambhalte qayam karte hue
kisi ka koi bhi kirdar rah na jae kahin
KHayal rakhna kahani tamam karte hue
mera zamir malamat kare hai yun mujh par
mujhe jo dekhe hai tujh ko salam karte hue
ye mere pusta-e-jaan mein shigaf the lekin
kisi ne dekha nahin rok tham karte hue
wo baat baat pe naraaz hone lagta hai
so KHauf aata hai us se kalam karte hue
koi mazaq nahin umr bhar ki mehnat ko
kaleja chahiye ghairon ke nam karte hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.