lijiye ab raaz-e-dil ifsha hua
lījiye ab rāz-e-dil ifshā huā
har taraf bāteñ huiiñ charchā huā
mujh pe bhī taarī thī jaise be-ḳhudī
vo bhī thā jaise kahīñ khoyā huā
tere bin jiinā kise manzūr thā
zindagī se ek samjhauta huā
ḳhāna-e-dil meñ charāġh-e-ārzū
hai kabhī jaltā kabhī bujhtā huā
us kī rangat par khule har ik libās
ruup us kā hai ajab nikhrā huā
ik javānī kaif meñ Duubī huī
ik badan mahkā huā tarshā huā
ab talak taaza hai yādoñ kī mahak
aap se bichhḌe hue arsa huā
dil jigar aql-o-ḳhirad hosh-o-havās
ek lashkar thā ki jo paspā huā
dil ke ka.abe meñ mire ab bhī 'zamīr'
ek but muddat se hai rakkhā huā
lijiye ab raaz-e-dil ifsha hua
har taraf baaten huin charcha hua
mujh pe bhi tari thi jaise be-KHudi
wo bhi tha jaise kahin khoya hua
tere bin jina kise manzur tha
zindagi se ek samjhauta hua
KHana-e-dil mein charagh-e-arzu
hai kabhi jalta kabhi bujhta hua
us ki rangat par khule har ek libas
rup us ka hai ajab nikhra hua
ek jawani kaif mein Dubi hui
ek badan mahka hua tarsha hua
ab talak taza hai yaadon ki mahak
aap se bichhDe hue arsa hua
dil jigar aql-o-KHirad hosh-o-hawas
ek lashkar tha ki jo paspa hua
dil ke kabe mein mere ab bhi 'zamir'
ek but muddat se hai rakkha hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.