lijiye humse ba-kamal log bhi aam ho gae
lījiye ham se bā-kamāl log bhī aam ho ga.e
jin se gurez thā hameñ ham se vo kaam ho ga.e
aap keī badduā-e-dil āḳhir asar dikhā ga.ī
ham ko bhī ishq ho gayā ham bhī ġhulām ho ga.e
chādar-e-ehtiyāt aaj sar se havā jo le uḌī
zulf ke saare pech-o-ḳham manzar-e-ām ho ga.e
bāġh-e-badan meñ har taraf kaliyāñ chaTak chaTak ga.iiñ
bād-e-sabā chalī to ham ḳhushbū ḳhirām ho ga.e
aap se aap chhaT ga.e abr-e-ghaner hijr ke
ham bhī shab-e-siyāh se māh-e-tamām ho ga.e
mo.ajiza ye nahīñ to kyā nazreñ milīñ na baat keī
phir bhī salām ho ga.e phir bhī payām ho ga.e
ye kār-e-ishq kā safar aise 'alīnā' tai huā
dil un kā ham ne rakh liyā ḳhud un ke naam ho ga.e
lijiye hum se ba-kamal log bhi aam ho gae
jin se gurez tha hamein hum se wo kaam ho gae
aap kei baddua-e-dil aaKHir asar dikha gai
hum ko bhi ishq ho gaya hum bhi ghulam ho gae
chadar-e-ehtiyat aaj sar se hawa jo le uDi
zulf ke sare pech-o-KHam manzar-e-am ho gae
bagh-e-badan mein har taraf kaliyan chaTak chaTak gain
baad-e-saba chali to hum KHushbu KHiram ho gae
aap se aap chhaT gae abr-e-ghaner hijr ke
hum bhi shab-e-siyah se mah-e-tamam ho gae
moajiza ye nahin to kya nazren milin na baat kei
phir bhi salam ho gae phir bhi payam ho gae
ye kar-e-ishq ka safar aise 'alina' tai hua
dil un ka hum ne rakh liya KHud un ke nam ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.