likh diya apne dar pe kisi ne is jagah pyar karna mana hai
likh diya apne dar pe kisi ne is jagah pyar karna mana hai
Qateel Shifai
MORE BYQateel Shifai
likh diyā apne dar pe kisī ne is jagah pyaar karnā manā hai
pyaar agar ho bhī jaa.e kisī ko us kā iz.hār karnā manā hai
un kī mahfil meñ jab koī jaa.e pahle nazreñ vo apnī jhukā.e
vo sanam jo ḳhudā ban ga.e haiñ un kā dīdār karnā manā hai
jaag uTThe to aaheñ bhareñge husn vāloñ ko rusvā kareñge
so ga.e haiñ jo furqat ke maare un ko bedār karnā manā hai
ham ne kī arz ai banda-parvar kyuuñ sitam Dhā rahe ho yuuñ ham par
baat sun kar hamārī vo bole ham se takrār karnā manā hai
sāmne jo khulā hai jharoka khā na jaanā 'qatīl' un kā dhokā
ab bhī apne liye us galī meñ shauq-e-dīdār karnā manā hai
likh diya apne dar pe kisi ne is jagah pyar karna mana hai
pyar agar ho bhi jae kisi ko us ka izhaar karna mana hai
un ki mahfil mein jab koi jae pahle nazren wo apni jhukae
wo sanam jo KHuda ban gae hain un ka didar karna mana hai
jag uTThe to aahen bharenge husn walon ko ruswa karenge
so gae hain jo furqat ke mare un ko bedar karna mana hai
hum ne ki arz ai banda-parwar kyun sitam Dha rahe ho yun hum par
baat sun kar hamari wo bole hum se takrar karna mana hai
samne jo khula hai jharoka kha na jaana 'qatil' un ka dhoka
ab bhi apne liye us gali mein shauq-e-didar karna mana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.