likh diya faisla yak-qalam
likh diyā faisla yak-qalam
kuchh bhī sochā nahīñ mohtaram
chashm-e-nam ke ta.iiñ chashm-e-nam
kis kī hamrāz hai chashm-e-nam
gardish-e-dahr kā zikr thā
ham bhī shāmil hue sub.h-dam
ek mehrāb hai pusht par
sāmne al-haram al-haram
dil kā sīpāra vīrān hai
aur ham raqs meñ dam-ba-dam
hashr tum bhī uThāte rahe
ham luñDhāte rahe jām-o-jam
ik safar ab bhī darpesh hai
ab bhī darpesh haiñ pech-o-ḳham
likh diya faisla yak-qalam
kuchh bhi socha nahin mohtaram
chashm-e-nam ke tain chashm-e-nam
kis ki hamraaz hai chashm-e-nam
gardish-e-dahr ka zikr tha
hum bhi shamil hue subh-dam
ek mehrab hai pusht par
samne al-haram al-haram
dil ka sipara viran hai
aur hum raqs mein dam-ba-dam
hashr tum bhi uThate rahe
hum lunDhate rahe jam-o-jam
ek safar ab bhi darpesh hai
ab bhi darpesh hain pech-o-KHam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.