likh raha hai hamare chehron par
likh rahā hai hamāre chehroñ par
roz ik ḳhvāb vaqt kā ḳhanjar
vo kahīñ aur so gayā jā kar
raat bhar jāgtā rahā bistar
tez āñdhī se aur kuchh na huā
le ga.ī mujh ġharīb kā chhappar
dekh kar us ko jhiil kī mānind
pheñknā hī paḌā hai mujh kankar
ghar kī tā'rīf meñ nahīñ aatā
phir bhī kahne ko hai ye merā ghar
us ne pheñkā na thā mirī jānib
mere sar par lagā magar patthar
ḳhvāhishoñ kā alaav hai insāñ
dekh liije nigāh se chhū kar
reza reza paḌā hai ā.īna
sach kī taqdīr to yahī hai magar
titliyāñ regzār aur dariyā
kitnā mushkil hai aarzū kā safar
likh raha hai hamare chehron par
roz ek KHwab waqt ka KHanjar
wo kahin aur so gaya ja kar
raat bhar jagta raha bistar
tez aandhi se aur kuchh na hua
le gai mujh gharib ka chhappar
dekh kar us ko jhil ki manind
phenkna hi paDa hai mujh kankar
ghar ki ta'rif mein nahin aata
phir bhi kahne ko hai ye mera ghar
us ne phenka na tha meri jaanib
mere sar par laga magar patthar
KHwahishon ka alaw hai insan
dekh lije nigah se chhu kar
reza reza paDa hai aaina
sach ki taqdir to yahi hai magar
titliyan regzar aur dariya
kitna mushkil hai aarzu ka safar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.