likh raha hun harf-e-haq harf-e-wafa kis ke liye
likh rahā huuñ harf-e-haq harf-e-vafā kis ke liye
māñgtā huuñ zinda rahne kī duā kis ke liye
phuul haiñ sab ek gulshan ke to phir taḳhsīs kyuuñ
sehn-e-gulshan meñ ye zahrīlī huā kis ke liye
maiñ to nākām mohabbat huuñ chalo rusvā huā
tau batā hai terā paimān-e-vafā kis ke liye
maiñ to ik ḳhvāhish kī bhī takmīl par qādir nahīñ
ye shikva ḳhusravāna ye anā kis ke liye
mujh ko ḳhush-fahmī nahīñ hai ai havā phir bhī batā
muztarib hai vo taġhāful āshnā kis ke liye
kho chukā hai us ko jab to ḳhud hī ai sultān-'rashk'
ab dhaḌaktā hai dil-e-be-mudda.ā kis ke liye
likh raha hun harf-e-haq harf-e-wafa kis ke liye
mangta hun zinda rahne ki dua kis ke liye
phul hain sab ek gulshan ke to phir taKHsis kyun
sehn-e-gulshan mein ye zahrili hua kis ke liye
main to nakaam mohabbat hun chalo ruswa hua
tau bata hai tera paiman-e-wafa kis ke liye
main to ek KHwahish ki bhi takmil par qadir nahin
ye shikwa KHusrawana ye ana kis ke liye
mujh ko KHush-fahmi nahin hai ai hawa phir bhi bata
muztarib hai wo taghaful aashna kis ke liye
kho chuka hai us ko jab to KHud hi ai sultan-'rashk'
ab dhaDakta hai dil-e-be-muddaa kis ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.