likha dekha bahut maine kitabon mein fasanon mein
likha dekha bahut maine kitabon mein fasanon mein
Syed Muzammil Ahmad Siyah
MORE BYSyed Muzammil Ahmad Siyah
likhā dekhā bahut maiñ ne kitāboñ meñ fasānoñ meñ
tū shāhīñ hai baserā kar pahāḌoñ kī chaTānoñ meñ
mohabbat thī mujhe us se ibādat kar nahīñ paayā
paḌā huuñ ham-kalāmī kī umañg meñ āstānoñ meñ
maiñ apnī baat karne ke kahāñ qābil rahā logo
kahīñ kuchh bhī nahīñ aaya kahīñ huuñ rāz-dānoñ meñ
maiñ us ke paas jaatā huuñ bahut nazdīk lekin chup
jahāñ sab maañg luuñ us se magar huuñ be-zabānoñ meñ
use fursat hī fursat hai mujhe miltī nahīñ saa.at
vo daatā hai vo de degā magar maiñ nā-murādoñ meñ
mujhe hilnā nahīñ aaya mujhe chalnā hī kab aaya
mire par bhī nahīñ mere vahī hai in uḌānoñ meñ
tumhārī baat hai yaktā tumhāre rang anokhe haiñ
anokhe rangoñ meñ rañg ke 'siyah' hai āsmānoñ meñ
likha dekha bahut main ne kitabon mein fasanon mein
tu shahin hai basera kar pahaDon ki chaTanon mein
mohabbat thi mujhe us se ibaadat kar nahin paya
paDa hun ham-kalami ki umang mein aastanon mein
main apni baat karne ke kahan qabil raha logo
kahin kuchh bhi nahin aaya kahin hun raaz-danon mein
main us ke pas jata hun bahut nazdik lekin chup
jahan sab mang lun us se magar hun be-zabanon mein
use fursat hi fursat hai mujhe milti nahin saat
wo data hai wo de dega magar main na-muradon mein
mujhe hilna nahin aaya mujhe chalna hi kab aaya
mere par bhi nahin mere wahi hai in uDanon mein
tumhaari baat hai yakta tumhaare rang anokhe hain
anokhe rangon mein rang ke 'siyah' hai aasmanon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.