likhe hue alfaz mein tasir nahin hai
likhe hue alfāz meñ tāsīr nahīñ hai
dil par jo kisī ishq kī tahrīr nahīñ hai
is ziist ke har moḌ pe laḌnī hai mujhe jañg
qirtās o qalam haiñ koī shamshīr nahīñ hai
mumkin hī nahīñ thā tujhe āvāz lagāte
hai ishq kī rūdād pa tash.hīr nahīñ hai
duniyā meñ vafā DhūñDne nikle the nadārat
ik bojh hai dil par mire shahtīr nahīñ hai
lamhe meñ palaT deñge zamāne ko tumhāre
hai ahd-e-hunar jaan ye tasḳhīr nahīñ hai
paivast haiñ is ghar se bahut aap kī yādeñ
guzre hue lamhāt haiñ zanjīr nahīñ hai
chup-chāp bahut der se phirte haiñ gurezāñ
duniyā meñ koī aap sā dil-gīr nahīñ hai
likhe hue alfaz mein tasir nahin hai
dil par jo kisi ishq ki tahrir nahin hai
is zist ke har moD pe laDni hai mujhe jang
qirtas o qalam hain koi shamshir nahin hai
mumkin hi nahin tha tujhe aawaz lagate
hai ishq ki rudad pa tashhir nahin hai
duniya mein wafa DhunDne nikle the nadarat
ek bojh hai dil par mere shahtir nahin hai
lamhe mein palaT denge zamane ko tumhaare
hai ahd-e-hunar jaan ye tasKHir nahin hai
paiwast hain is ghar se bahut aap ki yaaden
guzre hue lamhat hain zanjir nahin hai
chup-chap bahut der se phirte hain gurezan
duniya mein koi aap sa dil-gir nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.