likhega waqt hawaon pe inkishaf mere
likhegā vaqt havāoñ pe inkishāf mire
gunāh sab to nahīñ qābil-e-muāf mire
maiñ tīrgī ko kabhī raushnī nahīñ kahtā
har ahd kī hai havā is liye ḳhilāf mire
parā.e logoñ se kyā leñ samā.atoñ kī dalīl
mire gavāh bane haiñ ḳhud e'tirāf mire
paḌā hai vaqt to āñkhoñ se ho gayā ojhal
vo umr bhar ko jo kartā rahā tavāf mire
faqat tumhīñ se nahīñ hai ye iḳhtilāf mirā
ḳhud apne saath bhī 'safdar' haiñ iḳhtilāf mire
likhega waqt hawaon pe inkishaf mere
gunah sab to nahin qabil-e-muaf mere
main tirgi ko kabhi raushni nahin kahta
har ahd ki hai hawa is liye KHilaf mere
parae logon se kya len samaaton ki dalil
mere gawah bane hain KHud e'tiraf mere
paDa hai waqt to aankhon se ho gaya ojhal
wo umr bhar ko jo karta raha tawaf mere
faqat tumhin se nahin hai ye iKHtilaf mera
KHud apne sath bhi 'safdar' hain iKHtilaf mere
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.