likhne laga wo dard ka qissa zamin par
likhne lagā vo dard kā qissa zamīn par
jo ashk merī aañkh se Tapkā zamīn par
ik maañ talāsh-e-rizq meñ ghar se nikal paḌī
rakh kar niDhāl bhuuk se bachcha zamīn par
tum ko kisī jagah na mukammal milūñgā maiñ
aadhā huuñ āsmān pe aadhā zamīn par
'azvar' milī na un ko lahad ke liye jagah
karte the zindagī meñ jo qabza zamīn par
likhne laga wo dard ka qissa zamin par
jo ashk meri aankh se Tapka zamin par
ek man talash-e-rizq mein ghar se nikal paDi
rakh kar niDhaal bhuk se bachcha zamin par
tum ko kisi jagah na mukammal milunga main
aadha hun aasman pe aadha zamin par
'azwar' mili na un ko lahad ke liye jagah
karte the zindagi mein jo qabza zamin par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.