likhte likhte hath shal ho jaenge
likhte likhte haath shal ho jā.eñge
dāstāñ ik ham bhī kal ho jā.eñge
shāḳh par khilne to de in ko sabā
ek din ye phuul phal ho jā.eñge
koī ho apnā badal mumkin nahīñ
aap ham apnā badal ho jā.eñge
aag ke dariyā se guzreñge agar
sho'le saare jal hī jal ho jā.eñge
jab suneñge log marne kī ḳhabar
ġham-zada ahl-e-ġhazal ho jā.eñge
harf yak-jehtī pe aa.egā agar
sar-ba-kaf ahl-e-ġhazal ho jā.eñge
likhte likhte hath shal ho jaenge
dastan ek hum bhi kal ho jaenge
shaKH par khilne to de in ko saba
ek din ye phul phal ho jaenge
koi ho apna badal mumkin nahin
aap hum apna badal ho jaenge
aag ke dariya se guzrenge agar
sho'le sare jal hi jal ho jaenge
jab sunenge log marne ki KHabar
gham-zada ahl-e-ghazal ho jaenge
harf yak-jehti pe aaega agar
sar-ba-kaf ahl-e-ghazal ho jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.